Hi friends, mera naam Hiren hai, jaisa mere sath huwa, aapne socha bhi na hoga. baat mere bachpan ki hai. mai apne nani ke ghar rahata tha. meri nani ke pados me ek ladki rahti thi. hum dono bachpan se sath rahte the. yah sab tab tak chala jab mai 8 saal ka ho gaya.

Hamari dosti samay ke sath badhti gai. Divya kab mujhse pyar karne lagi mujhe pta nahi chala. mai padhne ke liye apne gav chala aaya, aur vo apne papa ke sath mumbai chali gai. 8 saal baad mai apne nani ke ghar gaya waha shiv ratri par ramayan ka path hota hai.

Bahut se log aate hai. waha divya bhi aai thi, wo bachpan ki tarah mere paas doud kar aai, par mai bada hone ke karan sharma raha tha, usne kaha tumto aekdam badal gaye ho, mai ne kaha nahi ab ham bade ho gaye hai. bachcho ki tarah sath nahi rah sakte.

Dunia bura manegi, divya serious ho gai. duniya bura mane tum to nahi manoge na. mene kaha kya bol rahi hai. teri umar shadi ke layak ho gai hai. bachcho jese baat mat karo. divya shadi ki umar ho gai hai. tabhi to aisa kah rahi hu. mujhe gussa aa gaya bola tu mumbai jakar kharab ho gai hai.

Divya boli tum badal gaye ho aur roti hui bhag gai. mai sab kuchh jante huve bhi kuchh samajh nahi paa raha tha, gav me gaya dosto se baat ki aur so gaya. din bhar ghumne ke karan mai thak gaya tha aur 9 baje hi so gaya. log der raat tak jagte rahe the.

raat ko mujhe laga koi mere pair ki finger ko chhu raha hai. tabhi kuchh pani ki boond jaisa mere pair par gira. meri aankh khul gai. maine dekha divya roti hui mere pair ke paas baithi thi. mai chonk gaya. maine charo taraph dekha. koi dekh to nahi raha hai.

sab gahri need me so rahe the. nahi to bekar me badnami hoti. mai use pakad kar kone me le gaya. bola ye ka pagalpan hai. usne mere ko kuch jawab hi nhi diya. kisi tarah samjhha kar mai divya ko uske ghar bhrjna chahta tha. wo ek hi zid par adi thi.

tum mere maan ki baat samajhte kyon nahi ho. maine kaha mai bachha nahi hu. mujhe sab samajh me aata hai. par meri mummy ne hamari zindagi sawarne ke liye bahut dukh uthaye hai. hume kuchh ban kar unke sapno ko banana hoga. divya ne kaha par hamare sapne, mai ne kaha uske liye shari zindagi padi hai.

wo gussa hokar boli. tab tumhari mummy se hi baat karege. aur chali gai. maine sub kuchh bol to diya par me bhi usse bahut pyar karta hu. par mujhe malum tha abhi hamari age shadi ke layak nahi hai. ye sab sochte huwe kab subah ho gai mujhe pata bhi nahi chala.

mai shanti se milkar use ye sab samjhana chahta tha. par uske aashu dekhkar mai kuch kah nahi pata tha. divya ke papa ko sab malum tha. subah hi vo mummy se milne aa gaye. unhone divya ki baat mummy se batai. mummy chouk gai. boli aap mujhe apani bahan kahte hai to aapki beti ko mai kya kahoogi.

divya ke papa ekdum chup ho gaye aur chale gaye. mujhe bhi bura laga. par mene jakar mummy ko samjaya. mummy boli aesi baat hai to mai divya ke papa se baat karungi. tum jaao mehmaano ko dekho. ham apne kam me lag gaye. tabhi gav me halla mach gaya.

divya ghar se bhag gai. sunte hi mera chehara kala pad gaya mummy aur didi ne aakar hame samhala. mai aaj ek gunahgar ban chuka tha.

Submitted By - Hiren

0 comments:

Post a Comment

 
Top